Friday, June 29, 2007

BEWAFAI


Bewafai ki yeh intehaan ho gayi,
ki tujhse juda ho kar bhi jeene ki aadat ho gayi
tum laut ke aaoge humse milne

roz dil ko behlaane ki aadat ho gayi

tere vaade pe kya bharosa kiya humne
ki shab bhar tera intezaar karne ki aadat ho gayi
khushi mein bhi hum kya muskuraate ki

teri judaai mein roney ki aadat ho gayi

kaafiley nikal gaye humen chhod ke
ki ab to tanha safar ki aadat ho gayi
har mod par mili ghum ki parchaaiyaan

zindagi se samjhauta karne ki aadat ho gayi

jaante the ki nahi ho sakte kabhi tum humaare
phir bhi khuda se tujhe maangne ki aadat ho gayi
paiman-e-wafaa kya hain humen kya maaloom

ki bewafaaon se dil lagaane ki aadat ho gayi"

Phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko
Kya saza di hey mohabat nay khudaya mujhko

Din ko aaram hai na rat ko hai chain kabhi
Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujhko


Dukh to yeh hai keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban ke paraya mujhko

Jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujhko


Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne subah aur shaam bujhaya mujhko
kaisay bhoolon ga tere saath guajare lamhay
Yaad aata raha julfon ka hi saya mujhko.....

ab to umeed-e-wafa tum say nahein hai koi
Phir charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko
Bewafa zindagi ne jab chod diya hai tanha

Maut ne pyaar say pehloo main bithaya mujhko.

No comments: