Monday, October 8, 2007

YAADEIN

chadte suraj ka humne salaam dekha,
khilte chand se roshan...shaam dekha,
lekin ab hai suraj...bhi dhalta hua,
ja raha he behta hua,
hum sabse yeh kehta hua,

ek nayi zindagi hogi kal,

yaad bahut ayenge...yeh haseen pal,
naye dost to hume...kal bhi bahut mil jayenge par,
ek doosre ko...hum kaise bhula payenge.

zindagi he...ret si fisalti hui..jiye ja rahi he...

kehna chahte..in labonko...kuch yu siye ja rahi he..
yadon ke kuch...aise manzar ban pade he
saath bitaye hue saare pal...saamne yu khade he
ki kehte hai humse...ye fir woh apni kahani dahoranyenge,
fir un hassin yadonko tazza kar jayenge

kal shaam fir haseen hogi,

kali ghata jab ambar pe chayegi yadon ke chheeton se
yahan ki baarish se hume bhigo jayegi

ankhon mein sapno ka samandar...liye jaana hai sahil ke us paar

lekin ankhe he num ek chuppi si chayee he
phir kahan se launga tumhe mere yaar
phir kahan se launga...tumhe mere yaar

dua he rab se meri...mere khaab bhi tumhe mil jaye

suno jab jab tum ise...to tumhari aankh bhi dab dabaye
dua he meri rab se...mere khaab bhi tumhe mil jaye
yaadon se buni muskaan...tumhare adheeron ko bhi sajaye
suno jab jab tum ise...toh tumhe bhi hamari yaad sataye
suno jab jab tum ise...toh tumhe bhi hamari yaad sataye

tumhe bhi hamari yaad sataye

to tumhari aankh bhi dab dabaye

to tumhari aankh bhi dab dabaye


No comments: