Thursday, October 23, 2008

kabhi...kabhi

pyaar koi labz nahi hotonse batane ko,
woh to ek ehsaas he aankho se samjhaane ko,
zindagi guzar jayegi pal zapakte hi,
jilo ise jaise har pal me ho wajah muskuraane ko.
koi yaad kare aapko to kuch baat he,
koi ruthe, koi to ho manane ko.
fir kabhi sochte he hum, kya roega yeh zamana
jab chale jayenge hum door kahi, kabhi bhi wapas na aane ko.

===========================

kabhi lagti ho aap parayee, koi ajnabee ho,
woh saath guzare hue pal, beeta hua kal ho,
tasveer jab saamne aa jaati he aapki,
lagti ho aap kuch apni si , aap hamari jaan ho.
kabhi sochte he hum raat raat bhar,
ki kya mila hume aapko dil de kar,
aankh band karke jab jhankte hu khud he andar,
bas ek hi chehra aapka, aa jaata he nazar.

kabhi rehta hu yaadon ki kaid me aapki,
na rihaai na zamaanat milti he,
sirf pyaar karne ka gunaah kiya tha humne,
uski bhi itni badi saza milti he.
yeh dard ka silsila tut hi nahi raha he,
dooriyon ka faasla mit hi nahi raha he,
ashq ab sookh gaye he ...ro ro ke,
aap par iska kuch asar bhi ho nahi raha he.

khwaabon ke itne tukde ho gaye he,
kuch paas me, kuch door bikhar gaye he,
jab bhi koshish karta hu unhe jodne ki,
sachai ki talwaar se fir se kut gaye he.
haalat ab kuch aise ban gaye he,
na bhul sakte he hum aapko, na yaad bhi kar sakte he,
bas jiye jaa rahe he hum isi ghum me,
ki kabhi aap ho nahi saki hamari, aur hum kuch kar bhi nahi sakte he.

No comments: