Tuesday, November 6, 2012

bhulake har ek ghum...

teri aankho me yeh jo nami he, kaash isko mita sakte hum
tere chehre pe sada k liye, kaash muskaan la sakte hum
is dil ko kaise manaye, toot raha he har pal humdum
pyaar to fir bhi karta he tumse, bhulake har ek ghum

tere zulfon ki chhaav ka sukh, kaash paa lete hum
teri jhooti hasi ke peeche ka dookh, jaan lete he hum
is dard ko kaise bhagaye, beh raha he ashq bankar humdum
haath thaamke bas chalna he sang tere, bhulake har ek ghum

teri dil ke darwaze ka rukh, kaash mod lete hum
teri naram baahon ke samandar me, kaash doob jaate hum
is pyaar ke khatir, khud ko mitate he har pal humdum
hothon ki nami ko mehsus kar lu tere, bhulake har ek ghum


teri mulakat ke intezaar me jo maza he, kaash samjha sakte hum
tere pyaar ki intehaan ki jo saza he, kaas mita sakte hum
is dil ki mehfil me koi aur nahi, bas tum ho har pal humdum
zubaan se dil ka haal sun le mere, bhulake har ek ghum

teri parchayee se bhi pyaar karte he, kaash bata sakte hum
teri har ek ada pe fida he bepanaah, kaash jata sakte hum
is sookhi si zindagi me khushiyon ki baarish laati ho harpal humdum
dil khol ke rakh de sanam tere liye, bhulake har ek ghum

tere dil ki dhadkan me hum, hamari har ek saans me ho tum
tere har ek khwaab me hum, hamare har ek ehsaas me ho tum
is haseen pal me, har lamhe ki yaad ho tum, harpal humdum
sirf adat nahi, zindagi ho meri...jeene k liye, bhulake har ek ghum

No comments: