Monday, November 5, 2012

fir se aankh me aansu he aya...

har din uthke bas aapka hi khayal aata he
har raat me aapki yaadein basti he
haath jab pakadte he aap humara kaske
saari pareshaniyaaan door hoti he


zindagi me aake saari khushiyaan bhar di aapne
dheere dheere saare ghum ko mere mita daala
pyaar kab hua aapse, pata bhi nahi chala humko
aankho se aisa kya jadoo chala dala


bhool gaye duniya ki rasmo ko, chalte rahe us raah par befiqr hum
bichadne ka khayal nahi sochkar, bas aur kareeb ate rahe hum
dil ki awaaz to pehle se sun li thi, aankho se bayan jo kar chuke the
pyaar ka izhaar bhi der se kiya, par sab kuch pehle se jaan chuke the

baahon me aakar aapke, saari duniya bhul jaate he hum
kuch dhyaan nahi rehta, kuch yaad karna nahi chahte he hum
khwaabon me aksar, paa lete he aapko bahut kareeb
khuda se bhi jyada, ishq karne lage aapse hum

 
mohabbat ke dekhe he humne bahut saare nazare
par aapne jo dikhaya use kaise bhool payenge hum
maut bhi aayegi bulane agar aapke ishare par
to uske saath khushi khushi chale jayenge hum

kaandhe par sar rakh ke, jab bhi roya aapne
dil se lagakar, aansuon ko aapke pi bhi liya
har waqt saath diya he aapka humne
baaho me aapke, humne bas jee bhi liya

humne itni mohabbat ki he aapse, itna pyaar tha jataya
fir kyoun zindagi denewale ne, fir se hume usi mukaam par laya 
jahan sirf tanhayee aur ghum ka saaya he chaya
dard ne dil ki deewar pe firse ek aanch he laya
                                                                 
kaash aisi duniya hoti, jahan jalta sirf humare pyaar ka diya
badal barsate phool humpar, kabool karte haath aapka
koi kaata na chubta hume, koi shaqs beech me na aata
zindagi khushiyon se bhar dete hum, kabhi na bichadta saath aapka

woh pyaar hi kya jise majboor kiya jaaye
zabardasti se jisko dil me utara jaaye
pyaar to woh hota he jo bas ho jaata he
chupke se joh dhadkan me sama jaata he

ab khade he us mod pe hum fir se, jahan raasta alag ho chala
kaise chod denge haath aapka, kaise bhul payenge bhala
dhadkan ban gayee ho, jaan meri, dil me bas aapko hi paya
fir se kuch toot raha he andar, fir se aankh me aansu he aya... 


fir se aankh me aansu he aya.. 
fir se aankh me ..


No comments: