Thursday, November 22, 2012

phir kyun dil ...

raah me milte he, kai saare chehre
bas ek chehra kyoun is dil ko bhata he
kya khaas he usme, yeh jaanta  bhi nahi
phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...

 
dekhti he jab woh, mujhe taak kar
ankho me khokar uske duniya bhul jata he
kya jaado he usme, yeh jaanta bhi nahi
phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...

 
khud ko bhulake, baaho me uske
sukoon jo itna dil ko aata he
kya junoon he usme, yeh jaanta bhi nahi
phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...


sapno me khokar, jahan basa leta he yeh
khush khudko itna tab pata he
kya jannat he usme, yeh jaanta bhi nahi
phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...


haath pakad ke uska, haatho me
raasta pata nahi kaise kat jata he
waqt kaise guzar jata he, yeh jaanta bhi nahi
phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...

dua maangta nahi, kiski k liye kabhi
jab bhi mangi to wohi yaad aata he
kya khudayi he usme, yeh jaanta bhi nahi
phir kyoun dil, sirf usi ko chahta he...


pyaar ishq mohabbat, to sirf alphaaz he
yeh kuch aur hi he, jo ehsaas ban jaata he
kya naam de ise, yeh jaanta bhi nahi 

phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...
 
jhalak ke liye uske, tarasta he har roz
door jaake us se, ek pal na reh paata he
kya dor bandhi he uske saath, yeh jaanta bhi nahi 

phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...

adat ho gayee he uski is tarah
mehfil me bhi dil, tanha ho jata he
zindagi ka kya hoga aage yeh jaanta bhi nahi 

phir kyun dil, sirf usi ko chahta he...















 

phir bhi kyun dil, sirf usi ko chahta he...

No comments: