Saturday, December 1, 2012

pyaar ki daastan...

ek tute dil ki awaaz he yeh,
dard se bhari muskaan he yeh,
aansu poch kar fir se jo ro de,
ek anokhi pyaar ki daastan he yeh.

us tute dil ko dekhkar, door se,
aate he sab dawa lekar,
maangte he dua, karte he marammat,
jodte he tukdo ko, mohabbat dekar.

dete he pal, khushiyon bhare,
rehte he sang, humsufar bankar,
pakadte he haath, zor se kaskar,
baahon me bharke, gale se lagkar.

pyaar ki kashti, behti rehti he,
unke hi saanso ke zor par,
zindagi haseen ban jaati he,
rehti he seene me woh, dhadkan bankar.


par shayad nasib ko, yeh manjoor nahi,
dil khush ho kisika itna, yakeen nahi,
dekh nahi pata is dil ko sukoon me woh,
badal deta he rukh, woh jo dikhta nahi.

kya maza ata he use isme wohi jaane,
kya saza he yeh bhi jaanta nahi,
zindagi dene wala kyoun karta he yeh,
kyun khelta he dil se aise, pata nahi.

bhejta he koi shaqs, ajnabee bankar,
nazar jaan pe mere daalkar,
kehta he do labz, woh ishq ke churakar,
door le jaane ki use, zid pakadkar.

fir ata he tufaan, andheri raat me,
jalta he dil fir se, nafrat ki aag me
aankh se khoon ki nadi he behti,
murjhata he dil ka phool, fir bheed bhari baag me.

le jata he use gairo ki baaho me,
saari kasmo ko aise todkar,
yaad bankar dhadkan mar jaati he,
dil hota he akela firse us modpar.

kya farak padta he use, haath ko chodkar,
kya ansu ata he use, rooh ko nochkar,
us ehsaas ka gala, ghut jata he,
woh jo kabhi raha tha zindagi bankar.

fir se basahara dil, cheekhta rehta he,
raato me akela, usika naam lekar,
fir se zindagi se haarta he bechara,
kya kami reh gayee pyaar me poochkar.

agar itna pyaar karne par bhi,
door jaata he dil todne wala,
pyaar ka bharosa kaise karega dil,
fir se ayega koi jab ise jodne wala.

ek tute dil ki awaaz he yeh,
dard se bhari muskaan he yeh,
aansu poch kar fir se jo ro de,
ek anokhi pyaar ki daastan he yeh.

No comments: