Wednesday, December 12, 2012

Dil Dhoondta Reh Gaya...


unhone undekha karke rasta badal diya
dil churakar dhadkan ka qatal kar diya
hum tanhayion me dhoondte rahe sahara
aur unhone khudko ko gairo ke hawale kar diya

unke aasuno ko pike, saara dard unka humne le liya
fir bhi tassali na hui, thoda aur dard hume de diya
unko baaho me leke, saara ghum unka humne bhulwaya
fir kyoun chhod diya hume besahara, dil ko aise dukhwaya

itna pyaar kiya unse humne ki
ishq ki aag me khud ko humne jala dala
saath diya har pal unka humne ki
unke liye, apno ko bhi humne bhula dala

takdeer ne daga diya, har baar is tarah
haatho ki lakeer, bikhri si padi he har jagah
khud se khafa rahu, ya rahu unse naraaz
pyaar me unke dil, aisi kaunsi khata kar gaya

mera khuda bhi itna naaraaz he mujhse
ghum ki siyahi se mera nasib likhta reh gaya
unhone bhi dee mujhe aisi pyaar karne ki saza
aansuon me khudke me to doobta reh gaya

seene me dil to he lekin, dhadhkan he nahi
khoya khoya sa rehta hu har pal har jagah
saanse chal rahee he,  par zindagi he nahi
sochta rehta hu door jaane ki kya thi wajah

unhe paakar koi aur, kabhi bhi paa nahi sakega
dil me unke sada ke liye, sirf humara hi naam rahega
meri mohabbat ki takad ka andaza nahi he unko
dil tootkar phir bhi, unke diye hue, zakhmo ko sahega

jab bhi yaad ayenge hum, dil unka bhi royega
aansu peene wala aisa ashiq, phir kahan unhe milega
jab bhi mann unka yaado ke sagar me doobega
kaske baaho me bharne wala, phir kahan unhe milega

shikayat nahi unse, na he unse kuch bhi ruswayee
dosh to zindagi ka he, khushiyan jo meine payee
ghadi ke kaato ko me, dekhta reh gaya bebas hokar
door chalee gayee woh, palat kar fir nahi muskurayee

taare bhi ro padenge judai pare humare,
barsega tab khuda ki aankho se bhi paani
nachegi woh usme apne yaar ke sang jhoomke,
chaand reh jayega us din, bankar sirf ek kahani.

tadpegi woh bhi gumsum si raato me
yaad jab bhi humari aayegi unko
tab bhi dua maangega dil unke liye
khushiyaan humari mil jaye sari unko

kuch adhura sa lagta he, kuch to chhoot raha ho jaise
unke na hone ka dard kitna he, unko samjhau to bhi kaise
ghum ka saya darata he har baar, har jagah mujhe
andhere se mehfus dil, ro raha he futkar kahi jaise

ab kaunsi raah pe chalega toota dil mera
gumraah jab usko, manzil ne khud kar diya
jahan hoga sannata aur tanhayee ka basera
apne aap ko wahan, dil dhoondta reh gaya...

dil dhoondta reh gaya ...

No comments: