zindagi kyoun tu mujhe khud se door karti he
paas tere me baar baar firse aata rahunga
maut bhi degi mujhe to woh manzoor hogi
marne se pehle tere hi liye dua karunga
zindagi kyoun tu itni mujhse naraaz he
jab har pal sirf tujhi ko me chahta rahunga
dard bhi tu deti he khushiyon k saath
ishq ki baarish me fir bhi me nahata rahunga
zindagi tujhse kai saare sawal karne he
jawab jinke kabhi me jaan nahi paunga
kya such he, kya jhoot he tere andar
kya such he, kya jhoot he tere andar
nahi jaanke sirf tere hi nagme gaunga
zindagi me to musafir hu teri naav me
tu jahan bolegi me wahan utar jaunga
paani me doob jaunga fir bhi yaad rakhna
tujhe kabhi bhi dil se bhula nahi paunga
zindagi tu to woh gulaab he pyaar ka
me to khusbhoo hu, fiza me bikhar jaunga
dil toota he itna andar, zara dhyaan se
chhu lene se kabhi, kahi bhi bikhar jaunga
zindagi humne kitne saare pal bitaye he
kaise un sabko mann se nikal paunga
har ek pal, woh har ek lamha khaas he
aakhri saans tak dil me mehfus rakhunga
zindagi tune fir se hasna mujhe sikhaya
is ke liye tujhe shukriyan kehna chahunga
fir se mohabbat karna, jo tune dikhaya
is karz ko me kabhi chuka nahi paunga
zindagi tu sirf meri he, meri hi rahegi
umr bhar saath tera me nibhaunga
kitne bhi kaate daalegi tu mere raaste me
Zindagi...Meri Zindagi....
No comments:
Post a Comment